Friday, January 19, 2018

Kya Hua Agar...

Kya hua agar ab roz office jana padta hai,
Are kabhi roz college bhi to jate the.

Kya hua agar aaj roti khud banani padti hai,
Are kabhi maa kay hath ka khana bhi to khate the.

Kya hua agar aaj boss ko deni padti hai,
Are kabhi juniors ki bhi to baja kay liya karte the.

Kya hua agar aaj formals pehen kar rehna padta hai,
Are kabhi ban than kay, hatho me band aur gale me chain pehen kar bhi to niaklte the.

Kya hua agar aaj akele rehte hai,
Are kabhi hostel me ek bed pe teen bhi to pade rehte the.

Kya hua agar pesa kamane kay liye mehnat karni padti hai,
Are kabhi baap kay pese pe aish bhi to kiya karte the.

Kya hua agar aaj apni gadi me akele ghoomte hai,
Are kabhi doston kay sath pedal hi kayi faslay bhi to tay kiya karte the.

Kya hua agar aaj maa baap apne liye bahu dhoond rahe hai,
Are kabhi khud kay liye bhi to girlfriend dhoonda karte the.

Kya hua agar dosotn se aaj mil nahi paate,
Are kabhi unke sath hi to zindagi gujara karte the.

Kyu rote ho ki sab badal gaya hai,

Are aaj badlega tabhi to kal nayi yaaden jutaoge! 


-by Ambuj

Winter is here

November falls and so rises the cold one... The one who loves the dark, The one who forces to fire the hearth. Winds are it's companions...